Aye zindagi, dard bepanah hai tujhse mila
Par hum kaise karen aakhir tujhse gila
Kaanton ki chubhan ka chalta raha silsila
Par Jannat ka Phool mere aanchal me khila
Aye zindagi, uski khushbu se mehek jaati hai tu
Uske rangon se khilkar chamak jaati hai tu
Uske hone se kis qadr nikhar jaati hai tu
Khushiyon me khokar bikhar jaati hai tu
Aye zindagi, naa reh udaas tujhse hai iltejaa
Mere dard ki Us Phool ko na de tu kabhi sazaa
Mere honton ki hansi hai bas uski har Dua
Mere us nanhe se phool ko tu kaanton se bachaa
Aye zundagi, Mere Rabb ke karam se hi ye hua
Meri har Dua ka usne diya kitna pyaara sila
Dard milta hai tujhse to isme bhi hai USKI hi Razaa
Mera ye Jannat ka Phool hai USKA hi Tohfa
~UmmHashiR
No comments:
Post a Comment