Maana ke ek kami hai jo poori ho na paayegi
Par tujhe aise jeene ki aadat ho hi jaayegi
Meri Dua hai ke muqaddar me waqt aisa aayega
Tu khud ko haqeeqat me mukammal paayega
Chalta jaa, tu dhoop ki sakhti ko bardaasht kar
Saaya door milega, tu usey paane ki himmat kar
Tu kamzor padh nahi sakta, tujhe duaon se seencha hai
Patjhadh me zindagi ke tu ek bahaaron ka bagheecha hai
Khwaabon ke sach hone ki, achcha hai tu khwaish kar
Par khwaabon ko jeene ki har mumkin koshish kar
Sahaara lekar khada hona to bahut hi aasaan hai
Tu besahaaron ka maseeha ban ye mera armaan hai
Qaayam rehta kuch nahi, ye mushkil bhi judaa hogi
Tu dekhna jald hi bahut ek roshan subah hogi
Jo khanjar dard bankar aaj guzarte hain tere seene se
Wo zeyr hojaayenge bas tere zara muskuraane se
Kar Uspe bharosa tu Jo kabhi tootne nahi deta
Apni Rehmat ko wo sachchai se roothne nahi deta
Sach kadwa hi hota hai - tujhe chuna hai aazmaish ne
Tasalli dhoond le, Mere Bete tu, Apne Khaliq ki khwaaish me
~UmmHashiR