Soncha ke ek pal ke liye khud ko aaj main dekh hi loon
Maazi ke un nishaanon ko ek baar to khud me dhoond hi loon
Ek dard jo dil me samaaya tha, bheegi si theen ankhein meri
Thak chuke the mere qadam, dhundli si theen rahein meri
Aaj dil dard se mera khaali hai, ankhon me ansu bhi na rahe
Meri kamzoriyon ki wajah jo bane, zindagi ke wo pehlu na mile
Hui takleef jab mujhe khud me kaheen ek afsos samaaya mila
Ke beete waqt ko maine aakhir kyun tabaah kiya?
...UmmHashir
3 comments:
Assalamualaikum dear sister!
MashaAllah you've got a nice blog. This urdu poetry is specially nice. I loved it! :)
jo bhi huwa Allah hi ki marzi thi, jo ho raha hai Allah hi ki marzi hai aur jo hone waala hai wo bhi Allah hi ki marzi rahegi,
aur Allah sab kuch hamaari acchai ke liye hi karta hai kyunkii Allah ko woh maloom hai jo hame maloom nahi,isliye Allah kabhi kabhi dua na khobool karke ham par ehsaan karta hai
Wa'Alaikum As-SAlaam sister Maryam
Jazak Allaah khair for your feedback
Jazak Allaah khair brother Suheb for the words of wisdom :)
Post a Comment