Kuch Farq zaroor hota hai do ek-jaise halaat me
Gaur karo to pata chale Farq alfaaz me aur baat me
Waise to dono ek jaise hain dekhne walon ke liye
Par Farq tum mehsoos karo andhere me aur raat me
Kisi ki maujoodgi se na parkho nazdeeki ya doori ko
Kyunki Farq bahut hota hai pass hone me aur saath me
Lamhe bhar ke ehsaas se zindagi nahi badli jaati
Farq bahut zyada hota hai khwabon me aur khayalaat me
Waise to ibaadat Allaah hi ki hai dono ki namaz me
Farq phir bhi kitna hai rakha Usne tanha aur jamaat me
Dard jo dilon ke tootne se milta hai badle hue halaat me
Aksar Farq nahi samajh paate hum rishton me aur jazbaat me...
~ Umm Hashir (Firdaus)
No comments:
Post a Comment