Tuesday, May 04, 2021

Maahe Ramadaan ki barkat...(الحمدلله)

بسم الله الرحمان الرحيم



Yun mehsoos hota hai k wo baat kal hi ki thi
Soyi thi main jo bebasi me, wo raat kal hi ki thi..
Maahe Ramadaan ki aamad par main kitni laachaar thi
Bistar se uth nahi sakti thi main, rooh o jism se beemaar thi

Ramadaan ki raunaqon se ghar mera bhara hua tha
Rozedaaron ki khushi ko dekh-dekh kar dil mera taras raha tha
Wo aakhri 10 raatein - jinme thi chupi Laylatul Qadr!
Dil mera chaahta tha k mile mujhko wo Shab - Khairum min Alfee Shahr!

Tha wo Ramadaan jisme meri ibaadat thi Tawakkul Us par
Ke ashkon me bheega takiya tha musalle ki jagah par
Roza rakh nahi sakti thi - ye dard dil me basa kar
Main jee rahi thi bas Mushaf ko din-raat gale laga kar

Mere kamzor jism ki ibaadat se hua Rabb mera aise raazi
Ke Wo dekh raha tha k meri har saans thi bas Uski ita'at me baaqi
Wo pehli Taaq raat ko Usne kuch aise sulaaya mujhko
Ke subah Apni Qudrat se aazmaaish me rulaaya mujhko

Jiske deedaar ke intezaar me meri aankhein bichee theen
Jisko thaamne ki aarzu me meri baahein tadap rahi theen
Kaha duniya ne mujhko ke maine usko kho diya hai
Ugte sooraj ne meri zindagi ke chiraagh ko bujhaa diya hai

Aankhein band karke kaha maine ke ye  hai meri duaaon ka silaa
Agar le bhi liya hai Tune, to Ya Rabb wo Tera hi to tha
Lekin dil toot raha hai mera main ab kaise jiyoongi
Teri ibaadat me jeena hai mujhe - na jaane ab kya karoongi...

Mere Allaah ne dikhayaa duniya ko ke wo Khaaliq hai haqeeqi
Uske "kun" k aage nahi hota phir koi falsafa baaqi
Mere Rabb ne diya aisa tohfa, meri zindagi ko sajaa kar
Ke Uski ibaadat me jeena sikhaaya mujhko MAA bana kar..

( الحمدلله )

~UmmHashir 


 

No comments:

I am nobody, but a stranger, only a simple wayfarer,
My journey is this life till I reach the Hereafter..
Traveling all along the footsteps of my Teacher
,
For I have to, in time, reach the destination promised by MY
SUSTAINER...