Sunday, January 07, 2018

Rabb ki Raza hai boodhe maa baap se

Aye insaan, naa ho jaa tu itna bhi masroof 
Ke tu bhool jaaye apna khud ka wajood
Jo haath thaam kar chalna sikhaate the kabhi
Wo tere saath ke liye kitna taraste hain abhi

Jo ek-ek jumla jamaana sikhaate the tujhe
Wo aaj baat karne ki wajah dhoondte hain tujhse
Jo teri himmat aur taaqat the har imtehaan me
Aaj bahut kamzor padh chuke hain is jahaan me

Jo teri hansi me, khushi me sukoon paate the
Jo teri sharaaratein dekh-dekh muskuraate the
Wo aaj dekhna chaahte hain ke tu muskuraata hai
Unki bebasi se bas tujhe Rabb aazmaata hai

Aaj jis daur se guzar rahe hain ye musaafir duniya ke
Kal tu khadaa hoga yun hi us paar dariya ke
Zindagi aur kuch nahi, bas hai isi aazmaaish ka naam
Tere aaj ke karmon ka hi tujhe milega inaam

Ek anmol mauqa diya hai tere Rabb ne tujhe
Ke tere gunahon ki aag jisse shaayad bujhe
Na kar Jannat ko door, aye naadan, apne aap se
Tere Rabb ki Raza hai bas inhi boodhe maa-baap se

~BintSamsam 
I am nobody, but a stranger, only a simple wayfarer,
My journey is this life till I reach the Hereafter..
Traveling all along the footsteps of my Teacher
,
For I have to, in time, reach the destination promised by MY
SUSTAINER...