Aa tujhko dikhaati hoon ek haqeeqat ka manzar
Kyun khud ko chubhota hai tu yun dard wala khanjar
Jab Allaah ne banaya Adam ko hamaare abba
Unhe kaamil karne banaayi bade pyaar se Hawwa
Jab Moosa ko banaya to maa ne nadi me choda
Phir Aasiya ke zariye Moosa ko maa se joda
Is paighambari ke qisse me Qur’an ne baap ka zikr tak na kiya
Maa ke aanchal me Allaah ne Firaun ka khaatima banaya
Jab waqt aa gaya tha ke Easa ko Duniya me laaye
Ek moujizah ki surat thi ke ek aurat hi unko paaye
Dunya ki rehnumaayi ki zaroorat Allaah ne jaani
Maryam ki paakeezgi ko ek amaanat Usne dedi
Allaah hai sab ka Aalim, wo jaanta tha ke Makkah me
Uska Aakhri Maseeha chamkega andheri Duniya me
Par isse pehle ke Muhammed (SAWS) maa ki baahon me aate
Rasool Allaah (SAWS) ke Abba is jahaan se jaa chuke the
Kayi hain misaalein, agar tu dekhna chaahe to
Allaah ki marzi ko agar tu samajhna chaahe to
Meri jaan, jaahilon ki baat sunke roya naa kar
Rabb ki di zindagi ko udaasi me zaaya naa kar
Main jaanti hoon ke duniya tujhe ek darwaaza dikhaati hai
Bataa de ke maa ke Qadmon me teri Jannat muskuraati hai
Agar baap hi ke wajood se hota bachcha misaalon me
To Jannat ko Wo naa rakhta maa ke qadmon taley!
~UmmHashiR