Ek zindagi ke liye
Ek hi ehsaas chahiye
Ehsaas koi sonch nahi
Badalne tak uski pahonch nahi
Har khwaish jahaan me hoti kaamil nahi
Ek hi ehsaas chahiye
Ehsaas koi sonch nahi
Badalne tak uski pahonch nahi
Har khwaish jahaan me hoti kaamil nahi
Har khwaab aankhon ka hota haasil nahi
Har karwaan badhta hai jaanib-e-manzil nahi
Har faisla hota hai aarzu-e-dil nahi
Phir bhi, adhoori khwaishein hi
Laa-haasil khwaab hi
Beynaam manzilein hi
Tootthe hue dil hi
Karte hain hume kaamil
Hain ye hamaare haasil
Jab na ho koi aur manzil
Kyun rakhe aarzu koi dil
Ehsaas kabhi badalta nahi, chaahe badlaao hon hazaar
Jab zindagi ek hi hai, usey jeena kyun padhe baar baar?
~UmmHashiR
~UmmHashiR