Na satao usey pooch kar wo sawaal jinsey wo anjaan hai
Usey bas itna pata hai ke uski saari kayenaat uski maa hai
Jis pal wo sehem jaata hai, dar usko jab kisi sey lagta hai
Aanchal mey chip kar usey jo milti hai, wo himmat uski maa hai
Jab maidaan mey kheylte waqt usey haar-jeet ki fikr hoti hai
Uskey bachpan ko aagey badhati hai, wo taaqat uski maa hai
Zidd pey yun aa jaana, pal bhar mey phir pyaar sey maan jaana
Gussey ko pyaar key aagey bhulaa dena, uski ye aadat uski maa hai
Har aazmaish ko galey lagaaya hai, har waadey ko dil sey nibhaaya hai
Nanhi si umr mey jo usko mili hai, ye fitrat uski maa hai
Jab dil uska dukhta hai, wo kisi ko kuch keh nahi paata hai
Un sawaalon sey door jaakar jo milti hai usey, wo raahat uski maa hai
Koi Jo apni zimmedaariyon se munh modh kar zindagi jee raha hai kaheen
Har wo zimmedaari poori jo karti hai, wo soorat uski maa hai
Rishtey naam se nahi pyaar sey bante hain, farz sey wo poorey hote hain
Jo Rishta usney khoya hai, shayad uski qeemat uski maa hai
Aye logon! Usey tang naa karo, usey jeene do - usey ubharney do
Wo khush hai key Rabb ne hai kaha ke uski Jannat uski maa hai
EK AJNABI MARD KA TAARUF USSEY KYUN MAANGTEY HO???
BAAP BANKAR JO PAALTI HAI USEY, WO "AURAT" USKI MAA HAI!!!
...UmmHashir
No comments:
Post a Comment