Reh-reh kar dastak deyta hai maazi, karta hai meri yaadein wo taazi
Par wo kya jaane mujhe sab-kuch yaad hai, uska diya har inaam aaj bhi yaad hai
Na bhula sakega kabhi dil us khanjar-e-aitebaar ko
Wo beybasi ka lamha, mujhe wo ilzaam aaj bhi yaad hai
Kaise main bhooloon us pal ko jab maine khud ko kho diya tha
Mere dil ke tukdey karta, mujhe wo paighaam aaj bhi yaad hai
Aitebaar ke tinkey taraashna, haqeeqat me khwaab ko talaashna
Wo pagalpan ka aalam, mujhe apna anjaam aaj bhi yaad hai
Mere khwabon ke khilauney ko, meri zindagi ke sawerey ko
Kiya jo usney ghaafil, mujhe wo qissa tamaam aaj bhi yaad hai
Mere masoom farishte se, uskey adhoorey bachpan se
Jo joda tha kabhi usney, mujhe wo rishta-e-beynaam aaj bhi yaad hai
Yaad hai mujhe wo Subah, wo Shaam aaj bhi yaad hai
Ek farebi-sa chehra, mujhe uska naam aaj bhi yaad hai
Mera safar us manzil ki taraf, zindagi ke saahil ki taraf
Jo haasil-e-hayaat hai mera, mujhe wo muqaam aaj bhi yaad hai!
...UmmHashir
No comments:
Post a Comment