Thursday, August 17, 2023

Teri Hifaazat Mera Armaan Hai...

بسم الله الرحمان الرحيم


Phoolon-sa chehra, nanhe-se paun the, tere wo chote-se haath the
Teri chamakti aankhein, tujhe choo kar mehekti meri saansein
Yaad mujh ko har wo ghadi hai, wo kaise din aur raat the
Ke bistar ko bhigota tera bachpan, meri aankhein - hum saath-saath the

Keh leti thi main tujhse sab kuch, har khushi har ghum - Mera humraaz tha tu
Aahista aahista tu ban gaya aisa saathi, ke tu hi tu tha mere liye kaafi
Tera rona, tera wo hasna - Har aahat jaise mukammal alfaaz tha tu
Meri khaamosh zindagi ko sajaati hui ek sunehri awaaz tha tu

Main tujhe yun hi dekhti gayi, tu tezi se badaa hota gaya
Main Rabb ka shukr adaa karti gayi, Teri har lamha fikr karti gayi
Khel-khel me tujhe jab kharoch bhi aayi, to dar mera badhtaa gaya
Teri Duniya aur Aakhirat ki hifaazat ke liye dil mera tadaptaa raha

Chota-sa hai ye Duniya ka safar, lekin iska raasta asaan nahi 
Chalti rahi, bahut kamzor thi, halaat ke haathon bahut majboor thi
Meri tanhaayi ko jaanta tha Wo, Jo Apne bandon se rehta anjaan nahi
Usey maloom tha ke Uski Jannat ki qeemat ke aage kuch bhi ye imtehaan nahi

Mujhe chuna tha Rabb ne teri Maa banaa kar ek bahut ahem kaam ki khaatir
Yateem-sa tera bachpan hai ek hikmat, Rabbil Aalameen ne khud kee teri tarbiyyat
Ke tu ban gaya aisa banda, jo jeene marne hai taiyyaar Islaam ki khaatir
Chun liya Rabb ne tujhe Apne Paakeeza Kalaam ki khaatir

Ho jaaye Allaah mujh se raazi, rahe wo tujhse hamesha raazi - yehi mera armaan hai
Kare jo ye Duniya teri izzat, Jaan le ke ye hai bas tere Rabb ki nyamath
Sunnat ki roshni me karna amal us par hamesha, tere seene me jo Qur'an hai
Yawn al-Hashr ko kahein Muhammad-ur-Rasool Allaah  صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ  - Aye Hashir tu MERA mehmaan hai!

(Ameen)
~ UmmHashir 

No comments:

I am nobody, but a stranger, only a simple wayfarer,
My journey is this life till I reach the Hereafter..
Traveling all along the footsteps of my Teacher
,
For I have to, in time, reach the destination promised by MY
SUSTAINER...