Saturday, December 02, 2017

TERA Qur'an mere saath hai!


Ek aazmaish si sadaa ghere hai, ek roshni to kayi andhere hain
Kabhi neend adhoori hai, to kabhi bas khwaab mere hain

Agar aankh meri nam hojaaye, ya dil mera hua udaas kabhi
Meri himmat bankar sada saath rahein, kabhi Fatiha to Ikhlaas kabhi

Har jawaab mujhe miljaaye, chaahe main rahoon anjaan kabhi
Hifaazat aur hidaayat ke liye hain, kabhi Baqarah to Imran kabhi

Duniya ki nainsafiyon ne jab yaad dilaya ke main ek aurat hoon
Nisa se maine ye seekha ke main to ek niyamath hoon

Kabhi duniya ki rang-o-chamak se gar ankhein ho jayein nam
Mujhe muskurana sikha jaate hain kabhi Ma'ida kabhi An'am

Duniya jab mujhe lagti hai ek khudgarzi aur beimaani ki misaal
Mera eemaan mazboot kar jaate hain kabhi A'raf kabhi Anfal

Jab mushkilon me ghirkar lage mujh jaisa aur koi nahi maujood
Meri takleef bedard lagti hai jab yaad aate hain Nuh, Yunus aur Hud

Jab-jab khud ko mazloom samajh kar maine kaha uff!
Tadap gaya dil mera jab maine saamne dekha Yousuf

Apna har lamha mujhe khudgarz laga, lagi dunya kitni bemaani
Mera eemaan kitna kamzor laga jab dekhi Ibraheem ki qurbaani

Nafs ke haathon gar kabhi dil mera majboor ho jaata hai
Sajdah karte dekh mujhe Ghaafir Tawbah ki rah dikhaata hai

Jab jazbaat shayari bante hain to yaad dilaata hai Ash Shu'ara
Ke likhoon jo haqq rahe, warna Mulk ka bhi na milega sahaara

Jab maine apne Rabb ki Ruboobiyat ko shirk par kholna chaaha
Mujhe sahara dene chale aaye Ra'ad, Hijr, Nahl, Jaathiya aur Ta'ha

Teri niyamaton ki yaad dilaata hai Teen
Haqq adaa karwaate hain Infitar aur Mutaffifin

Dajjal ke naam se agar dil mera khaaye khauf
Meri dhaal bankar Jumu'ah se Jumu'ah tak rehta hai Kahf

Paigham-e-tawheed ki sarfaraazi ke liye dhoondna ho agar madad
Saath hain Is'ra, Anbiya, Qasas, Hajj, Muminoon, Furqan, aur Muhammad

Apne aayaat se samjhate hain Naml, Ankabut, Tur, Ahqaf, Dhukan aur Dhariyaat 
Ke Fatir ki pehchaan hai Insaan, Shams, Qamar, Najm, Buruj, Layl, Yasin, Qaaf aur Saad

Be-khauf iraadon me, andheri rahon me Layl ke saath ek Noor hai Mursalat
Qalam kehta hai Rasool-e-Kareem hai Muhammad (saw), Duha kahe ek naseeha hai Fussilat

Jab shirk-o-kufr ko dekho to yaad aate hain Saba aur Taghabun
Munafiqoon, Zukhruf, Waqi'ah, Haqqah, Feel aur Kaafiroon!

Eemaan ko mazboot karte hain Jinn aur Qadr
Saf, Saffath aur tafseer-e-Infitar

Taalib-e-insaaf hoon yahan, Ar-Rahman ke dar pe Muhadila aur Mumtahana 
Zulmaton ki Fajr hogi Hashr me, Maa'rij le jaata hai Qiyamah

Jab libaas ki pehchaan se log samajhte hain kamtar
Naba ko dhoond laate hain Muzammil aur Mudaththir

Apna wajood yaad dilaate hain mujhe Hadid aur Alaq
Sharh sukoon deta hai ke Tahreem bhi hai aur Talaq

Masad yaad dilaata hai Feel, Asr aur Nasr ke wo karishme
Falaq aur Naas mitaate hain har buraayi ke chashme 

Ma'un aur Kawthar hain jahan Humazah bhi waheen
Quraysh samjhaata hai ke TU hai, to tanha koi naheen

Ye duniya sataati hai bahut, kis qadr beyzaar hoon main
Mukhtasar aarzu hai,Teri Jannat ki talabgaar hoon main 

Teri Jannat ke haasil ka bas yehi to ek raasta hai
Aasaan isko karta bas Tera hi ye tohfa hai

Ya Ilaahi! Is Duniya ki aazmaaish me Tune akela mujhe choda hi nahi
Mujh gunaahgaar se Teri Rahmat ne kabhi Moonh modha hi nahi

Na bachoongi gar mere gunaahon ka hisaab Tune sakhti se liya
Laaj rakhle us waade ki jo Tune Apne Nabi (saws) se kiya

Pyaari Sunnaton me lipta Tera Paighaam mere saath hai
Meri hidaayat ke liye TERA Qur'an mere saath hai!

~ UmmHashiR







No comments:

I am nobody, but a stranger, only a simple wayfarer,
My journey is this life till I reach the Hereafter..
Traveling all along the footsteps of my Teacher
,
For I have to, in time, reach the destination promised by MY
SUSTAINER...