Aankhon ka neend se jo rishta hai
Wo to sab ko dikhai deta hai
Inka khwabon se bhi ek naata hai
Jo koi nahi jaan paata hai
Jab neend aaye to aankhon me
Band kar leti hain usey wo bahon me
Khulti nahi hai ankhein tab tak
Chali nahi jaati hai neend jab tak
Khwaab ki ek alag hi dastaan hai
Usko samajh paana nahi aasaan hai
Aankhon me samaa kar wo so jaata hai
Par neend ke tootte hi kho jaata hai
Aankhon ko khwaab ki aadat bhi hai
Par neend ki apni ek haqeeqat hai
Neend ka chupchaap farz adaa karti hain
Aankhein khwabon ko dil me basaa leti hain
~ UmmHashiR
Jo koi nahi jaan paata hai
Jab neend aaye to aankhon me
Band kar leti hain usey wo bahon me
Khulti nahi hai ankhein tab tak
Chali nahi jaati hai neend jab tak
Khwaab ki ek alag hi dastaan hai
Usko samajh paana nahi aasaan hai
Aankhon me samaa kar wo so jaata hai
Par neend ke tootte hi kho jaata hai
Aankhon ko khwaab ki aadat bhi hai
Par neend ki apni ek haqeeqat hai
Neend ka chupchaap farz adaa karti hain
Aankhein khwabon ko dil me basaa leti hain
~ UmmHashiR