Friday, September 30, 2011

Maut to tujhe bhi aani hai...

Na ho maghroor itna, ye teri bahut badi nadaani hai
Ghuroor jo aaj tujh mein hai bhara, teri barbaadi ki nishaani hai
Andhera aage gherega tujhe, chaar din ki bas ye chaandni hai
Palak jhapakte hi dhalti hai umr, bas kuch waqt ki ye jawaani hai

Kal ko na banjaaye ek afsos, aaj jo zindagi tujhe itni suhaani hai
Kya haasil banwaye jo tu mehel yahan, gar teri qabar mein na koi roshni hai
Har zulm ko jo tu samajhta hai jeet apni, ye sirf teri beimaani hai
Door nahi Woh Din jab tujhe haar apni Mehshar mein maanni hai

Tere amaal jo hain faqt ek dikhawa, mujhe is baat ki hairaani hai
Kya khauf-e-jahannum tujh mein nahin? Sun! Aakhirah sab hi se anjaani hai
Ek sajda sirf USKE liye kar JISE teri ibaadat raas aani hai
Aaj karle tauba tu dil se, kya pata kab - maut to tujhe bhi aani hai!

...Umm Hashir Firdaus Fathima

No comments:

I am nobody, but a stranger, only a simple wayfarer,
My journey is this life till I reach the Hereafter..
Traveling all along the footsteps of my Teacher
,
For I have to, in time, reach the destination promised by MY
SUSTAINER...