Thursday, December 14, 2017

Pardah Jannat se

Na pooch mujhse ye sawaal ke dard kisko kehte hain
Usey bayaan nahi karte, sirf mehsoos karte hain
Na dekh us manzar ko jahan armaan bikharte hain
Usey aankhon se nahi dekhte, nazron se padhte hain
Na khol aise raaz kabhi jo dabey hain dilon me
Chaabi ke muntazir nahi, wo sajey hain taalon me
Na kar shikwa us safar se jo mohtaaj hai raaston ka
Har lamha gawaah hai, wo ghubaar hai manzilon ka
Na dekh aise sapne jo behte rahe aansuon ne
Wo kaante chubhtey hain sadiyon tak aankhon me
Na bana aisi fitrat jo mehroom ho Uski Rehmat se
Duniya ki chaahat me, wo ek pardah hai Jannat se

~UmmHashiR 
I am nobody, but a stranger, only a simple wayfarer,
My journey is this life till I reach the Hereafter..
Traveling all along the footsteps of my Teacher
,
For I have to, in time, reach the destination promised by MY
SUSTAINER...