Saturday, November 18, 2017

Raat ki Siyaahi

Roshni ko door khud se iss tarah Raat rakhti hai 
Ujaale saikdon hon bhi to andhere saath rakhti hai
Khamoshi se aise wo apna farz nibhaati hai
Andhere ka maano wo taa-umr qarz chukaati hai
Subah ki haqeeqat ko wo poore dil se apnaati hai
 Din jaise hi dhalta hai phir andhera dhoond laati haI
Jaante hain sab sadiyon se Raat ki iss fitrat ko
Par mitaane roshni karte hain uski iss mohabbat ko
Raat ki siyaahi ko mitaana mumkin nahi hota
Hazaaron chiraagh hon bhi to wo din nahi hota

~ UmmHashiR

I am nobody, but a stranger, only a simple wayfarer,
My journey is this life till I reach the Hereafter..
Traveling all along the footsteps of my Teacher
,
For I have to, in time, reach the destination promised by MY
SUSTAINER...