Aye duniya ke musaafiron
Tum kitne ghaafil-ghaafil raahi ho
Jab muqaam badal jaate hain
To tum ban jaate harjaai ho
Safar ka har lamha anmol hai
Ye tum naa samajh paaogey
Manzil tay hai to safar baaqi kyun
Ye tum naa jaan paaogey
Phoolon mein rang kaise hain miley
Jab kaanton se rishta gehra hai
Khushbu dene wo kyun hain khiley
Jab kaanton ne unhe sadaa ghera hai
Kaanton ki badi ahmiyat hai
Ye tum naa samajh paaogey
Phool ko mila aisa saathi kyun
Ye tum naa jaan paaogey
Sitaaron ki bheed mein bhi
Chaand suhana lagta hai
Par jhilmil sitaron se hi to
Chaand apni roshni leta hai
Suraj kaise Chaand ko chamkaaye
Ye tum naa samajh paaogey
Kayenaat kadiyon-kadiyon se hai bani
Ye tum naa jaan paaogey
Samandar ki khamoshiyon se hi
Khushiyon ka naata hota hai
Lehrein agar shor machaa dein
To toofani tamasha hota hai
Hawayein badalti rehti hain kyun
Ye tum naa samajh paaogey
Manjdhaar mey doobi kashti ka kya hua
Ye tum naa jaan paaogey
Aye duniya ke musaafiron
Tum bas duniya hi ke talabgaar rahe
Shohrat, daulat aur chaahat ki dhun mein
Mohabbat ko khodiya jab tum beydaar huye
Duniya ke khatam par Ek Duniya hai
Naa jaane Ye tum kab samajh paaogey
Ek saveyre key liye sau andheyre hain bane
Shayad Ye tum kabhi naa jaan paaogey...
~UmmHashiR