Ashkon se bheegi hui saari muskurahatein
Guzre hue kal ki hume mili saughaatein
Dil aaj bhi us dard se dukhta hai
Dil aaj bhi us fard pe rukta hai
Haan, thi mere dil ki kayi hasratein
Sirf uskey saath ki sadaa thi khwaishein
Jisne ki kabhi meri koi parwah nahi
Jisne ki kabhi tasawwur me bhi sulah nahi
Apne hi andheron me soyi hui wo raatein
Apne hi lafzon me khoyi hui wo baatein
Dil jo bujh chuka to roshni hui nahi
Alfaaz ki khamoshi se wo daastan ruk si gayi
Pathar se kare kaise koi minnatein
Muqaddar se kare kaise koi shikayatein
Mere aaj me jo shaamil nahi hai
Mera wajood ussey kaamil nahi hai
Kuch anchaahi si bechain dhadkanein
Kuch anjaani si betaalluq aahatein
Mujhe kuch is tarah aaj bhi satati hain
Mujhe kuch is tarah aaj bhi jagaati hain
Beet gayi hain maana ke muddatein
Reh gayi kuch bhooli bisri si tareekhein
Na jaane kyun mujhe ye tadpa jaati hain
Na jaane kyun mujhe ye rula deti hain
~ UmmHashir
No comments:
Post a Comment