Saturday, May 14, 2011

Yaadein... zaroori hoti hain

Kuch yaadein tadpa jaati hain
Beete lamhon ko chedh jaati hain
Bharte hue zaqmon ko kharodti hain
Wo yadein jaati bhi hain, to apni yaad chodh jaati hain

Aise me insaan khud hi apna aayina ban jaata hai
Apni kamzoriyan ko wo haqeeqat mein pehchaan paata hai
Usey ek sach ka ehsaas woh aayina dilaata hai
Ke woh is dunya mein ek jeeta jaagta samjhauta hai

Ye yaadein jo maazi ki hain, wo haqeeqat ka ek hissa hain
Jinhe koi kabhi na jhutla sake, wo muqaddar ka ek qissa hain
Par ye yaadein samajhdaar ko ek naya raasta dikha jaati hai
Jo seedhe jaata hai Uski taraf Jiske qalam se har yaad likhi jaati hai

Dard na ho zindagi me to shayad insaan kabhi apne Rabb ko na pehchaane
Dunya naam hai samjhaute ka, warna shayad koi aakhirat ko na pehchaane
Dunya me jise ghum na mile wo shayad talb-e-Jannah ko na pehchaane
Dunya me gar dard naa mile to shayad koi khauf-e-Jahannum ko na pehchaane

...UmmHashiR

No comments:

I am nobody, but a stranger, only a simple wayfarer,
My journey is this life till I reach the Hereafter..
Traveling all along the footsteps of my Teacher
,
For I have to, in time, reach the destination promised by MY
SUSTAINER...