Ek sachcha, seedha-saadha, humsafar dede,
Zindagi ka meri aasan safar karde.
Haath mera thaam kar, jo thaama hi rahe,
Mujhme laakh buraiyan bhi, to wo mera hi rahe.
Andheron me zindagi ke wo mera chiragh ban jaye,
Har uljhan ki gufa ka wo suragh ban jaye.
Meri aankhon se aansu wo churale chupke se,
Hoton par mere apni muskurahat chipka de.
Mere ghumon ko apnakar wo muskuraye,
Main baar-baar rooth jaaun, to har baar manaye.
Har koi jise khuddaar keh sake,
Zindagi bhar jo mera wafadaar reh sake.
Ya Rab, ek hi dua hai meri tujhse,
Jahan bhi hai wo jaldi se milade use mujhse.
Is sabr ka mujhe achcha sa de sila,
In khwabon ki kaliyon ko Jannat me bhi khila (AMEEN)
~Firdaus

2 comments:
Ameen! Summa-Ameen!
May Allah SWT give you all this as well as [InshaAllah] much more love and affection than you ever wished for. And today I pray that for you! [ameen]
~A humble servant of Allah
I luv ur poetry.. Masha Allah!
Post a Comment